Wo Aksar...


Wo aksar..

barish me yaad aata hai,
Par in awara badlon ki tarah kahin kho jata hai

Wo aksar..
Meri palkon tale khwab bane rehta hai,
Par jab ankh khulti to haqiqat se mera samna hota hai

Wo aksar..
Tanhayi me mere sath chalta hai,
Par na jane kab chamkte jugnu ki tarah andheron ka aashiq ho jata hai

Wo aksar..
Meri parchhai ban har pal mere sath rehta hai,
Par ye dhoop chhaon ka khel use mujhse judaa kar deta hai

Wo aksar..
Kahani k kisi kirdar jaisa lagta hai,
Jo zindagi ki kahani ka hissa ban jata hai

Wo aksar..
Dil k darwaze par dastak de jata,
Par jab darwaze par nazar jati
sunsan rahon me sukhe patton k siva kuchh na nazar aata hai

Wo aksar..
Kuchh is kadar safar ki manzil ban jata hai,
Jaise lehren kinare ko chhukar samundar ki gehrayi me sama jati hai

Wo aksar..
barish ki tarah yaad aata hai,
par badlte mausam ki tarah kahin kho jata hai
                                                                                           -Manisha Yadav

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Covid-19 - Who is responsible government, public or origin country

प्रेम तुझ माझ

अशीच तू यावी